uḌte hue bādaloñ kī shobhā us ke malbūs meñ hai
aur us ke chehre par ek phuul kī sī chamak
ye āsmānī husn hai jo bulandī par hī dekhā jaatā hai
parbatoñ kī choTiyoñ par
yā jab chāñdnī khilī huī ho to pariyoñ ke shīsh-mahal meñ
lekin ye kyā baat hai ki maiñ to ise zamīn par hī ek phulvārī meñ dekh rahā huuñ
ravish par bahār kī halkī halkī havā chal rahī hai
aur os kī būñdeñ damak rahī haiñ
uDte hue baadalon ki shobha us ke malbus mein hai
aur us ke chehre par ek phul ki si chamak
ye aasmani husn hai jo bulandi par hi dekha jata hai
parbaton ki choTiyon par
ya jab chandni khili hui ho to pariyon ke shish-mahal mein
lekin ye kya baat hai ki main to ise zamin par hi ek phulwari mein dekh raha hun
rawish par bahaar ki halki halki hawa chal rahi hai
aur os ki bunden damak rahi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.