ik sunahre ghar meñ biitā ‘ālam-e-tiflī tirā
puḳhtagī aa.ī javānī husn raushan-tar huā
aur maskan ban gayā shāhī mahal
reshmī malbūs gulgūñ zeb-tan
aur daraḳhshāñ gesuoñ meñ ek phuul
andarūnī ḳhalvatoñ se is tarah hotī hai zāhir sub.h-dam
aur hamrāh-e-shah-e-vālā-tabār
lauTtī hai shaam ko
aah lekin raqs aur naġhme ke lamhe kitnī jaldī kho ga.e
āsmāñ par jā ke shāyad vo shafaq meñ so ga.e
ek sunahre ghar mein bita ‘alam-e-tifli tera
puKHtagi aai jawani husn raushan-tar hua
aur maskan ban gaya shahi mahal
reshmi malbus gulgun zeb-tan
aur daraKHshan gesuon mein ek phul
andaruni KHalwaton se is tarah hoti hai zahir subh-dam
aur hamrah-e-shah-e-wala-tabar
lauTti hai sham ko
aah lekin raqs aur naghme ke lamhe kitni jaldi kho gae
aasman par ja ke shayad wo shafaq mein so gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.