mai.n aur shaantii
shāntī
maiñ ne sirf terā naam sunā hai
par ham bhī mile nahīñ
maiñ us zamīñ kā naam bhī nahīñ jāntā
jahāñ tū bastī hai
jis shahr se tū vābasta hai
un galiyoñ se mere qadam nā-āshnā haiñ
shāntī tū jis ghar meñ rahtī hai
maiñ ne khiḌkī se jhāñk kar bhī kabhī tujhe dekhā nahīñ
aisā lagtā hai vo mere baa'd hī
aa.egī
aur maiñ yuuñ us par jhapaT paḌūñgā
jaise ek na-dīda
shanti
main ne sirf tera nam suna hai
par hum bhi mile nahin
main us zamin ka nam bhi nahin jaanta
jahan tu basti hai
jis shahr se tu wabasta hai
un galiyon se mere qadam na-ashna hain
shanti tu jis ghar mein rahti hai
main ne khiDki se jhank kar bhi kabhi tujhe dekha nahin
aisa lagta hai wo mere ba'd hi
aaegi
aur main yun us par jhapaT paDunga
jaise ek na-dida
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.