hiraas
Interesting Fact
(جان کیٹس کے سانٹ WHEN I HAVE FEARS کا ترجمہ)
kitne armaan ta.Dapte hai.n mere siine me.n
peshtar is ke ki tahriir me.n ye aa jaa.e.n
mujh ko Dar hai ki mai.n duniyaa se chalaa jaa.uu.ngaa
apne siine me.n in armaano.n ko dafnaa.uu.ngaa
jhilmilaate hu.e taaro.n se murassa' ye raat
kitnaa ruumaan bharaa hai mah-e-taabaa.n haihaat
is se pahle ki khiche she'r me.n un kii tasviir
mujh ko Dar hai ki mirii phuuT na jaa.e taqdiir
daa.imii diid tirii go mirii qismat me.n nahii.n
phir bhii pa.Dtii hai nazar tujh pe jab ai zohra-jabii.n
huuk sii uTh ke ye kahtii hai ki ai jaan-e-bahaar
tujh se jii bhar ke kabhii kar na sakuu.ngaa ab pyaar
phir KHayaal aataa hai is dahr me.n tanhaa huu.n mai.n
'ishq-o-shohrat ke ye jazbaat faqat dhokaa hai.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.