kisii kii yaad
Interesting Fact
(دشیکسپیر کے سانٹ بعنوان FORTUNE AND MEN'S EYES کا ترجمہ)
haal par apne jo paḌtī haiñ nigāheñ merī
kabhī taqdīr se nālāñ kabhī ḳhud se barham
āsmāñ ko bhī hilā detī haiñ aa.heñ merī
sākin-e-‘arsh se kartā huuñ shikāyat paiham
kaash bar aatī koī to mire dil kī ummīd
koī mahbūb koī chāhne vaalā hotā
kuchh hunar hotā hunar meñ nazar aatī tajdīd
rang Dhang apnā zamāne se nirālā hotā
is tarah ḳhud se jo bezār sā ho jaatā huuñ
nāgahāñ jān-e-vafā terā ḳhayāl aatā hai
jaise hangām-e-sahar murġh par-afshāñ ho kar
giit gaatā huā gardūñ pe pahuñch jaatā hai
phir tirī yaad meñ jab mahv maiñ ho jaatā huuñ
tājdāroñ ko bhī ḳhātir meñ nahīñ laatā huuñ
haal par apne jo paDti hain nigahen meri
kabhi taqdir se nalan kabhi KHud se barham
aasman ko bhi hila deti hain aahen meri
sakin-e-‘arsh se karta hun shikayat paiham
kash bar aati koi to mere dil ki ummid
koi mahbub koi chahne wala hota
kuchh hunar hota hunar mein nazar aati tajdid
rang Dhang apna zamane se nirala hota
is tarah KHud se jo bezar sa ho jata hun
nagahan jaan-e-wafa tera KHayal aata hai
jaise hangam-e-sahar murgh par-afshan ho kar
git gata hua gardun pe pahunch jata hai
phir teri yaad mein jab mahw main ho jata hun
tajdaron ko bhi KHatir mein nahin lata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.