luknat
luknat maa'zuurii nahii.n
ye to ek tarz-e-guftuguu hai
luknat KHaamoshii hai
jo dar aatii hai
lafz aur us ke maa'naa ke darmiyaan
bilkul usii tarah jaise luule-pan
kii KHaamoshii jo dar aatii hai
lafz aur ta'aammul ke darmiyaan
luknat zabaan par muqaddam hai
yaa mu.aKHKHar
ye sirf ek lahja hai
yaa apne aap me.n ek zabaan
ye savaalaat aise hai.n
ki maahiriin-e-lissniyaat bhii haklaane lagte hai.n
ham haklaate hai.n to goyaa
ham pesh karte hai.n qurbaanii
KHudaavand-e-ma'aanii ke huzuur
tamaam log jab luknat-zada ho.n
to luknat ban jaatii hai un kii maadarii zabaan
jis tarah ab hamaaraa mu'aamla hai
shaayad KHudaa bhii zaruur haklaayaa hogaa
us vaqt
jab us ne insaan kii taKHliiq kii hogii
yahii vaj.h hai ki insaano.n ke tamaam alfaaz
muKHtalif-ul-ma'aanii hai.n
yahii vaj.h hai ki jo kuchh bhii vo kahtaa hai
apnii 'ibaadato.n se le kar apne ahkaamaat tak
haklaa kar kahtaa hai
shaa'irii kii tarah
luknat maa'zuurii nahii.n
ye to ek tarz-e-guftuguu hai
luknat KHaamoshii hai
jo dar aatii hai
lafz aur us ke maa'naa ke darmiyaan
bilkul usii tarah jaise luule-pan
kii KHaamoshii jo dar aatii hai
lafz aur ta'aammul ke darmiyaan
luknat zabaan par muqaddam hai
yaa mu.aKHKHar
ye sirf ek lahja hai
yaa apne aap me.n ek zabaan
ye savaalaat aise hai.n
ki maahiriin-e-lissniyaat bhii haklaane lagte hai.n
ham haklaate hai.n to goyaa
ham pesh karte hai.n qurbaanii
KHudaavand-e-ma'aanii ke huzuur
tamaam log jab luknat-zada ho.n
to luknat ban jaatii hai un kii maadarii zabaan
jis tarah ab hamaaraa mu'aamla hai
shaayad KHudaa bhii zaruur haklaayaa hogaa
us vaqt
jab us ne insaan kii taKHliiq kii hogii
yahii vaj.h hai ki insaano.n ke tamaam alfaaz
muKHtalif-ul-ma'aanii hai.n
yahii vaj.h hai ki jo kuchh bhii vo kahtaa hai
apnii 'ibaadato.n se le kar apne ahkaamaat tak
haklaa kar kahtaa hai
shaa'irii kii tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.