dariyaa ke kinaare par
chuntii hai vo niiluufar
baate.n kiye jaatii hai
vo saath kii sakhiyo.n se
chuhle.n kiye jaatii hai
sharmaa.e se phuulo.n se
kirno.n se banaa paanii
shaffaaf saa aa.iina
'aks us me.n nazar aayaa
pairaahan-e-rangii.n kaa
KHushbuu se mo'attar hai
daaman jo gul-e-tar kaa
aavaara havaa.o.n se
larzish hu.ii aur thirkaa
lekin vo kinaare par
do chaar savaar aa.e
aavezaa.n hai.n jo shaaKHe.n
in shaaKHo.n ke patto.n me.n
hathiyaar chamak uTThe
phuulo.n me.n sadaa aa.ii
har asp ke Taapo.n kii
ruKHsat vo hu.e saare
ojhal hai.n nigaaho.n se
in sab ne unhe.n dekhaa
dil Dar se laraz uThThaa
dariyaa ke kinaare par
chuntii hai vo niiluufar
baate.n kiye jaatii hai
vo saath kii sakhiyo.n se
chuhle.n kiye jaatii hai
sharmaa.e se phuulo.n se
kirno.n se banaa paanii
shaffaaf saa aa.iina
'aks us me.n nazar aayaa
pairaahan-e-rangii.n kaa
KHushbuu se mo'attar hai
daaman jo gul-e-tar kaa
aavaara havaa.o.n se
larzish hu.ii aur thirkaa
lekin vo kinaare par
do chaar savaar aa.e
aavezaa.n hai.n jo shaaKHe.n
in shaaKHo.n ke patto.n me.n
hathiyaar chamak uTThe
phuulo.n me.n sadaa aa.ii
har asp ke Taapo.n kii
ruKHsat vo hu.e saare
ojhal hai.n nigaaho.n se
in sab ne unhe.n dekhaa
dil Dar se laraz uThThaa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.