us kii KHvaahish
din bhar ke kāmoñ se fāriġh hone ke baad jab tum thak jaao
to apne shauhar ke pahlū meñ laTe saktī ho
...agar us ne ḳhvāhish zāhir kī
to tum be-zārī kā iz.hār mat karnā
kyūñki vo to tumhārī thakan duur karnā chāhtā hai
raat meñ achānak jab chhuTkī uTh jaa.e
to apne ḳhvāboñ ko taaq par rakh kar uTh baiTho
aur apne kapḌe pahan kar use thapaktī raho
tā āñ-ki vo so na jaa.e
agar vo mutavātir bisūrtī rahī
to use bāhar le jaao man-bahlāvan ko
varna tumhāre shauhar kī niiñd uchaT jā.egī
ki dūsre din use kaam par bhī jaanā hai
tumhārī baḌī ke roz-marra schōl home-work
khānā-pīnā aur jhagḌā suljhāne ke baad
vaqt nikāl kar us kī taqrīr bhī tayyār kar do
'merī maañ'
kyūñki vo kal stage par
tumhārī azmat ke gun gaanā chāhtī hai
kitnī haqīqat par mabnī hai hamāre hindostānī ma.āshre meñ ek aam aurat kī tasvīr!
din bhar ke kaamon se farigh hone ke baad jab tum thak jao
to apne shauhar ke pahlu mein laTe sakti ho
agar us ne KHwahish zahir ki
to tum be-zari ka izhaar mat karna
kyunki wo to tumhaari thakan dur karna chahta hai
raat mein achanak jab chhuTki uTh jae
to apne KHwabon ko taq par rakh kar uTh baiTho
aur apne kapDe pahan kar use thapakti raho
ta aan-ki wo so na jae
agar wo mutawatir bisurti rahi
to use bahar le jao man-bahlawan ko
warna tumhaare shauhar ki nind uchaT jaegi
ki dusre din use kaam par bhi jaana hai
tumhaari baDi ke roz-marra school home-work
khana-pina aur jhagDa suljhane ke baad
waqt nikal kar us ki taqrir bhi tayyar kar do
'meri man'
kyunki wo kal stage par
tumhaari azmat ke gun gana chahti hai
kitni haqiqat par mabni hai hamare hindostani maashre mein ek aam aurat ki taswir!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.