nazm
tiirgii jaal hai aur bhaalaa hai nuur
ik shikaarii hai din ik shikaarii hai raat
jag samundar hai jis me.n kinaare se duur
machhliyo.n kii tarah ibn-e-aadam kii zaat
jag samundar hai saahil pe hai.n maahii-giir
jaal thaame ko.ii ko.ii bhaalaa liye
merii baarii kab aa.egii kyaa jaaniye
din ke bhaale se mujh ko kare.nge shikaar
raat ke jaal me.n yaa kare.nge asiir?

- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 477)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.