u.Dte hu.e baadalo.n kii shobhaa us ke malbuus me.n hai
aur us ke chehre par ek phuul kii sii chamak
ye aasmaanii husn hai jo bulandii par hii dekhaa jaataa hai
parbato.n kii choTiyo.n par
yaa jab chaa.ndnii khilii hu.ii ho to pariyo.n ke shiish-mahal me.n
lekin ye kyaa baat hai ki mai.n to ise zamiin par hii ek phulvaarii me.n dekh rahaa huu.n
ravish par bahaar kii halkii halkii havaa chal rahii hai
aur os kii buu.nde.n damak rahii hai.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.