aah vo raat bhar kii bedaarii
aah vo raat bhar kī bedārī
thā udhar naaz aur idhar zaarī
gum thā afsurdagī ke 'ālam meñ
baḳht ko raas aa.ī bedārī
sabr hotā hai yuuñ to begāna
raat thī us kī yāroñ se yaarī
maiñ thā tere jamāl se sarshār
log the mahv-e-shaġhl-e-bekārī
us ne kuchh aise pursish-e-ġham kī
aa ga.ī us meñ shān-e-dildārī
ho ga.ī duur lamha bhar ke liye
jaan ko tan se thī jo bezārī
aah wo raat bhar ki bedari
tha udhar naz aur idhar zari
gum tha afsurdagi ke 'alam mein
baKHt ko ras aai bedari
sabr hota hai yun to begana
raat thi us ki yaron se yari
main tha tere jamal se sarshaar
log the mahw-e-shaghl-e-bekari
us ne kuchh aise pursish-e-gham ki
aa gai us mein shan-e-dildari
ho gai dur lamha bhar ke liye
jaan ko tan se thi jo bezari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.