jaane kii apne KHasta dilo.n ko KHabar na kii

jaane kii apne KHasta dilo.n ko KHabar na kii
Khwaja Hafiz Sheerazi
MORE BYKhwaja Hafiz Sheerazi
jaane kī apne ḳhasta diloñ ko ḳhabar na kī
dilbar ne yād-e-ham-nafas-o-ham-safar na kī
yā baḳht ne tarīq-e-mohabbat bhulā diyā
yā us ne sū-e-rāh-e-tarīqat nazar na kī
sochā thā mere rone pe hogā vo mehrbāñ
tāsīr sang-dil pe fuġhāñ ne magar na kī
jis ne bhī tujh ko dekhā mirī aañkh chuum lī
jo shai pasand aañkh ne kī be-basar na kī
maiñ jāñ-ba-kaf khaḌā hī rahā sham' kī tarah
us ne hī sair misl-e-nasīm-e-sahar na kī
jaane ki apne KHasta dilon ko KHabar na ki
dilbar ne yaad-e-ham-nafas-o-ham-safar na ki
ya baKHt ne tariq-e-mohabbat bhula diya
ya us ne su-e-rah-e-tariqat nazar na ki
socha tha mere rone pe hoga wo mehrban
tasir sang-dil pe fughan ne magar na ki
jis ne bhi tujh ko dekha meri aankh chum li
jo shai pasand aankh ne ki be-basar na ki
main jaan-ba-kaf khaDa hi raha sham' ki tarah
us ne hi sair misl-e-nasim-e-sahar na ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.