lauTaa vo naama-bar jo gayaa thaa dayaar-e-dost

lauTaa vo naama-bar jo gayaa thaa dayaar-e-dost
Khwaja Hafiz Sheerazi
MORE BYKhwaja Hafiz Sheerazi
lauTā vo nāma-bar jo gayā thā dayār-e-dost
tā'vīz laayā hai ki ḳhat-e-mushkbār-e-dost
jī ḳhush kare hai shān-e-jalāl-o-jamāl-e-yār
achchhā lage hai qissa-e-'izz-o-vaqār-e-dost
ḳhush huuñ luTā ke daulat-e-dil phir bhī huuñ ḳhajil
itnī haqīr shai kī bhalā kyoñ nisār-e-dost
shukr-e-ḳhudā nasīb madad-gār ho gayā
ab hasb-e-ārzū hai sabhī kārobār-e-dost
māh-o-falak ko sair pe kab iḳhtiyār thā
yuuñ ghuum jo rahe haiñ ye hai iḳhtiyār-e-dost
surma to lā ke diijo nasīm-e-sahar mujhe
us ḳhāk-e-pāk kā jo banī rahguzār-e-dost
dushman bhī sar uḌāne ko aa.e to 'hāfizā'
fazl-e-ḳhudā na hūñgā kabhī sharmsār-e-dost
lauTa wo nama-bar jo gaya tha dayar-e-dost
ta'wiz laya hai ki KHat-e-mushkbar-e-dost
ji KHush kare hai shan-e-jalal-o-jamal-e-yar
achchha lage hai qissa-e-'izz-o-waqar-e-dost
KHush hun luTa ke daulat-e-dil phir bhi hun KHajil
itni haqir shai ki bhala kyon nisar-e-dost
shukr-e-KHuda nasib madad-gar ho gaya
ab hasb-e-arzu hai sabhi karobar-e-dost
mah-o-falak ko sair pe kab iKHtiyar tha
yun ghum jo rahe hain ye hai iKHtiyar-e-dost
surma to la ke dijo nasim-e-sahar mujhe
us KHak-e-pak ka jo bani rahguzar-e-dost
dushman bhi sar uDane ko aae to 'hafiza'
fazl-e-KHuda na hunga kabhi sharmsar-e-dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.