taa-marg tere vasl kii raahat na mill sakii
tā-marg tere vasl kī rāhat na mil sakī
āñkheñ milīñ to diid kī ne'mat na mil sakī
chāhā koī hikāyat-e-ġham dost ko likhūñ
in ashk-reziyoñ hī se fursat na mil sakī
vo bad-nasīb huuñ ki chhuTā pahle āshiyāñ
phir us ke baa'd uḌne kī tāqat na mil sakī
muzhda to mere qatl kā mujh ko milā magar
ye muzhda tujh se sunñe kī rāhat na mil sakī
jis sāġhar-e-umīd pe 'ḳhusro' ne jaan dī
us sāġhar-e-umīd kī lazzat na mil sakī
ta-marg tere wasl ki rahat na mil saki
aankhen milin to did ki ne'mat na mil saki
chaha koi hikayat-e-gham dost ko likhun
in ashk-reziyon hi se fursat na mil saki
wo bad-nasib hun ki chhuTa pahle aashiyan
phir us ke ba'd uDne ki taqat na mil saki
muzhda to mere qatl ka mujh ko mila magar
ye muzhda tujh se sunne ki rahat na mil saki
jis saghar-e-umid pe 'KHusro' ne jaan di
us saghar-e-umid ki lazzat na mil saki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.