yaar meraa dard bhii darmaan bhii
yaar merā dard bhī darmān bhī
dil fidā us par hai aur hai jaan bhī
husn se baḌh kar hai us kī ān-bān
husn bhī rakhtā hai vo aur shaan bhī
phir hamāre qatl ke darpe hai vo
toḌ Daale vā'da-o-paimān bhī
dosto dar-parda jo kahtā huuñ baat
kal yahī ban jā.egī dastān bhī
donoñ 'ālam us ke ruḳh se zau-fagan
kyā kahūñ zāhir bhī vo pinhān bhī
kaise duniyā par kareñ ham e'timād
aur vo gardūn-e-'ālīshān bhī
'āshiqī 'hāfiz' kī jaane mohtasib
āsif-e-mulk-e-sulaimāñ shaan bhī
yar mera dard bhi darman bhi
dil fida us par hai aur hai jaan bhi
husn se baDh kar hai us ki aan-ban
husn bhi rakhta hai wo aur shan bhi
phir hamare qatl ke darpe hai wo
toD Dale wa'da-o-paiman bhi
dosto dar-parda jo kahta hun baat
kal yahi ban jaegi dastan bhi
donon 'alam us ke ruKH se zau-fagan
kya kahun zahir bhi wo pinhan bhi
kaise duniya par karen hum e'timad
aur wo gardun-e-'alishan bhi
'ashiqi 'hafiz' ki jaane mohtasib
aasif-e-mulk-e-sulaiman shan bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.