chho.De hu.e ghar kaa giit
lo ab alvidā'
mere ghar
kyā mā'lūm ham kab mileñge
kal yā kisī aur din
kuchh dinoñ baad yā bahut dinoñ baad
ek aur safar darpesh hai
lekin is dafa hī tujh se zarūr kahūñgā
ki ham ne tere patthar ke siine ko
bahut chāhā hai
tū ne kitnī saḳhāvat se
bāvarchī-ḳhāne kī aag se garmī se navāzā hai
terī chhat
jis se bārish kī būñdeñ
añgūroñ kī tarah Tapaktī haiñ
āsmān se girtī huī mausīqī
jab ham terī khiḌkiyāñ band karte haiñ
dam ghoñTne vaalī be-vaqt raat
tere har kamre par chhā jā.egī
añdhere meñ Duubā huā
tū phir bhī jiitā jāgtā rahtā hai
vaqt tere sar par mañDlātā rahtā hai
aur cell kī gīlāhaT āhista āhista terī ruuh ko khātī chalī jaatī hai
kisī vaqt
koī chūhā kuchh katartā hai kāġhaz sarakte haiñ
ek malfūf sarsarāhaT
ek bhaTkā huā kiiḌā
thak kar kisī dīvār ke saath lag jaatā hai
aur jab bārish aatī hai
to is tanhā.ī meñ
chhat ke Tapakne kī āvāz
insānī āvāz kī tarah lagtī hai
jaise koī ro rahā ho
faqat sāyoñ ko hī
muqaffal gharoñ ke raaz kā 'alam hai
yā āvāra havā ko
lo ab alwida'
mere ghar
kya ma'lum hum kab milenge
kal ya kisi aur din
kuchh dinon baad ya bahut dinon baad
ek aur safar darpesh hai
lekin is dafa hi tujh se zarur kahunga
ki hum ne tere patthar ke sine ko
bahut chaha hai
tu ne kitni saKHawat se
bawarchi-KHane ki aag se garmi se nawaza hai
teri chhat
jis se barish ki bunden
anguron ki tarah Tapakti hain
aasman se girti hui mausiqi
jab hum teri khiDkiyan band karte hain
dam ghonTne wali be-waqt raat
tere har kamre par chha jaegi
andhere mein Duba hua
tu phir bhi jita jagta rahta hai
waqt tere sar par manDlata rahta hai
aur cell ki gilahaT aahista aahista teri ruh ko khati chali jati hai
kisi waqt
koi chuha kuchh katarta hai kaghaz sarakte hain
ek malfuf sarsarahaT
ek bhaTka hua kiDa
thak kar kisi diwar ke sath lag jata hai
aur jab barish aati hai
to is tanhai mein
chhat ke Tapakne ki aawaz
insani aawaz ki tarah lagti hai
jaise koi ro raha ho
faqat sayon ko hi
muqaffal gharon ke raaz ka 'alam hai
ya aawara hawa ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.