mai.n likhuu.ngii
maiñ she'r likhūñgī
un maġhmūm logoñ ke liye
jo sāhil par hī rah ga.e
un logoñ ke liye jinheñ ḳhāmosh rahne kī sazā dī ga.ī
aur maiñ jo bhī likhūñgī
use jalā dūñgī
mere likhe hue misre havā meñ uḌeñge
ek tund jhakkaḌ ke zor se
lā-matanāhī ḳhalā meñ gireñge
ye aag mujh se bhī aage nikal jā.egī
lekin is ḳhaak
aur taḌaptī jhaag se
kuchh bhī paidā na hogā
main she'r likhungi
un maghmum logon ke liye
jo sahil par hi rah gae
un logon ke liye jinhen KHamosh rahne ki saza di gai
aur main jo bhi likhungi
use jala dungi
mere likhe hue misre hawa mein uDenge
ek tund jhakkaD ke zor se
la-matanahi KHala mein girenge
ye aag mujh se bhi aage nikal jaegi
lekin is KHak
aur taDapti jhag se
kuchh bhi paida na hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.