mai.n raat kaa aaKHirii jaziira
maiñ raat kā āḳhirī jazīra
kaT rahā huuñ mahv-e-fuġhāñ huuñ
maiñ ḳhatm ho chuke vaqtoñ kā āḳhirī TukḌā huuñ
zaḳhmī huuñ
apnī bātoñ ke jangal meñ
tamām mar chuke ajdād ke nāḳhun
mere siine meñ paivast haiñ
zarā dekh to sahī
mare hue logoñ meñ bhī zinda rahne kī kitnī havas hai
main raat ka aaKHiri jazira
kaT raha hun mahw-e-fughan hun
main KHatm ho chuke waqton ka aaKHiri TukDa hun
zaKHmi hun
apni baaton ke jangal mein
tamam mar chuke ajdad ke naKHun
mere sine mein paiwast hain
zara dekh to sahi
mare hue logon mein bhi zinda rahne ki kitni hawas hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.