munsif chor bhii ho saktaa hai
munsif chor bhī ho saktā hai
ulTā shor bhī ho saktā hai
baat bhī Taalī jā saktī hai
baat pe ġhaur bhī ho saktā hai
dukh kī aañkh meñ aañkh to Daalo
dukh kamzor bhī ho saktā hai
maiñ jo himmat kar sakta huuñ
to kuchh aur bhī ho saktā hai
'zafar' ye jazbe mar jaa.eñ to
siina gor bhī ho saktā hai
munsif chor bhi ho sakta hai
ulTa shor bhi ho sakta hai
baat bhi Tali ja sakti hai
baat pe ghaur bhi ho sakta hai
dukh ki aankh mein aankh to Dalo
dukh kamzor bhi ho sakta hai
main jo himmat kar sakta hun
to kuchh aur bhi ho sakta hai
'zafar' ye jazbe mar jaen to
sina gor bhi ho sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.