musaafir
musāfir
is shahr kā paanī na piinā
is kī miThās meñ bahār kā zā.iqa
tumheñ hamesha ke liye apnī mohabbat meñ giraftār kar legā
us shahr meñ zarā bhī sustāne ke liye sar jhukāoge
to vaqt yahāñ
sāloñ ke liye ruk jā.egā
yaad rakhnā tumhārā rāsta abhī tai nahīñ huā
is shahr ke mehmān gharoñ kī mehmān-navāzī meñ
apnī manzil na bhuul jaanā
dhuul meñ aTī pagDanDiyoñ kī ḳhushī yaad rakhnā
suno kyā ḳhāmoshī hai
is shahr ke farishte bhī aḌ chuke haiñ
apne dil ko un kī pahuñch se bhī duur rakho
daraḳhtoñ ke kisī jhunD meñ kisī 'aurat ke haath ko bosa mat denā
bahār ke mausam kā ḳhayāl aa.e to Dar jaanā
apne māthe par manzil ke nishān kā hamesha naqsh qaa.em rakhnā
apne maġhrūr hoñToñ ko tishna hī rakhnā
musāfir
is shahr meñ na jaanā
musafir
is shahr ka pani na pina
is ki miThas mein bahaar ka zaiqa
tumhein hamesha ke liye apni mohabbat mein giraftar kar lega
us shahr mein zara bhi sustane ke liye sar jhukaoge
to waqt yahan
salon ke liye ruk jaega
yaad rakhna tumhaara rasta abhi tai nahin hua
is shahr ke mehman gharon ki mehman-nawazi mein
apni manzil na bhul jaana
dhul mein aTi pagDanDiyon ki KHushi yaad rakhna
suno kya KHamoshi hai
is shahr ke farishte bhi aD chuke hain
apne dil ko un ki pahunch se bhi dur rakho
daraKHton ke kisi jhunD mein kisi 'aurat ke hath ko bosa mat dena
bahaar ke mausam ka KHayal aae to Dar jaana
apne mathe par manzil ke nishan ka hamesha naqsh qaem rakhna
apne maghrur honTon ko tishna hi rakhna
musafir
is shahr mein na jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.