oracle
raat ke sard lab
lafz kahte haiñ
dard kā sutūñ
lafz nahīñ patthar nahīñ
patthar nahīñ koī saaya
mahaz dhuāñ ban ke uḌ jaane vaalā ḳhayāl
mire tahlīl hote hue hoñToñ se bahte hue
haqīqī paanī kī tarah
sachchā.ī kā lafz
jo mirī ġhalatiyoñ kā sabab hai
agar yahī maut hai to maiñ is ke bā'is zinda huuñ
agar yahī sukūt hai to merī āvāz isī ke bā'is hai
agar yahī yād-dāsht hai to mujhe kuchh bhī yaad nahīñ
maiñ nahīñ jāntā ki ye lafz mujhe kyā kah rahā hai
magar is pe yaqīn rakhte hue
ḳhud ko is ke havāle kar detā huuñ
kaise jāneñ ki ham zinda haiñ?
vaqt jo mahaz nīm-vā āñkhoñ se hameñ dekhtā hai
ḳhud ko bhī zāhir kar detā hai
raat ke sard lab
lafz kahte hain
dard ka sutun
lafz nahin patthar nahin
patthar nahin koi saya
mahaz dhuan ban ke uD jaane wala KHayal
mere tahlil hote hue honTon se bahte hue
haqiqi pani ki tarah
sachchai ka lafz
jo meri ghalatiyon ka sabab hai
agar yahi maut hai to main is ke ba'is zinda hun
agar yahi sukut hai to meri aawaz isi ke ba'is hai
agar yahi yaad-dasht hai to mujhe kuchh bhi yaad nahin
main nahin jaanta ki ye lafz mujhe kya kah raha hai
magar is pe yaqin rakhte hue
KHud ko is ke hawale kar deta hun
kaise jaanen ki hum zinda hain?
waqt jo mahaz nim-wa aankhon se hamein dekhta hai
KHud ko bhi zahir kar deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.