richard cory
ye cory bhii kyaa shaKHs thaa
jab kabhii shahr ke in mazaafaat me.n aa nikaltaa
hamaarii tarah ye sa.Dak ke kinaaro.n pe baiThe
hu.e log
us kii taraf dekhte the
vo sar-taa-paa kaisaa shariif nek-siirat thaa
kaisaa chhareraa badan thaa
hamesha shariifaana kap.De pahantaa
vo jab baate.n kartaa ba.Dii dard-mandii se kartaa
vo jab bhii salaam-o-du’aa kartaa lagtaa
ki haatho.n me.n nabz us kii ab pha.Dpha.Daane
lagii hai
vo jab saamne se guzartaa
to jaise ko.ii ik chamak sii guzartii
bahut paas daulat thii us ke
shahanshaaho.n se bhii kahii.n ziyaada
daulat kaa maalik thaa vo
vo har taur kyaa KHush-saliiqa thaa
hame.n aisaa lagtaa ki us me.n vo sab hai
jo ham jaise logo.n me.n
us jaisaa ban.ne kii KHvaahish jagaa de
hamaare shab-o-roz yuu.n hii guzarte rahe
ki ham raushnii ke liye yuu.n hii marte rahe
haatho.n me.n aa.ii hu.ii roTiyo.n pe
malaamat hii karte rahe
kabhii saath saalan bhii hotaa
magar apnaa cory bhii kyaa shaKHs thaa
garmiyo.n kii suhaanii sii ik raat ko
ghar gayaa aur chupke se pistaul kii ek golii
sar ke us paar kar lii

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.