mai.n ek daraKHt huu.n kisii 'amiiq-o-tiira KHaar me.n
ko.ii nahii.n ki jis se baat ko.ii karuu.n kabhii
tum uu.nche duur aasmaan pe goyaa ek chaa.nd ho
tum ek lamha jaate jaate raaste me.n ruk ga.e
nigaah tum ne mujh pe kii
phir aise jaise aa.e the chale ga.e chale ga.e
ko.ii bhii aisii teG-e-tez is jahaan me.n nahii.n
jo qat' kar ke aab kii ravaaniyo.n ko rok de
mire KHayaal isii tarah hai.n jaise sat.h-e-aab ho
hamesha ye tumhaare saath saath hai.n ravaa.n-davaa.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.