vaaris shaah
aaj vāris shaah se kahtī huuñ apnī qabr meñ se bolo
aur 'ishq kī kitāb kā koī nayā varqa kholo
panjāb kī ek beTī roī thī tū ne us kī lambī dāstān likhī
aaj lākhoñ beTiyāñ ro rahī haiñ vāris shaah
tum se kah rahī haiñ
ai dard-mandoñ ke dost panjāb kī hālat dekho
chaupāl lāshoñ se aTā paḌā hai chanāb lahū se bhar gayā hai
kisī ne pāñchoñ dariyāoñ meñ zahr milā diyā hai
aur yahī paanī dhartī ko sīñchne lagā hai
jahāñ pyaar ke naġhme gūñjte the vo bāñsurī jaane kahāñ kho ga.ī
aur rāñjhe ke sab bhaa.ī bāñsurī bajānā bhuul ga.e
vāris shaah maiñ tum se kahtī huuñ apnī qabr se uTho
aur 'ishq kī kitāb kā koī nayā varqa kholo
aaj waris shah se kahti hun apni qabr mein se bolo
aur 'ishq ki kitab ka koi naya warqa kholo
panjab ki ek beTi roi thi tu ne us ki lambi dastan likhi
aaj lakhon beTiyan ro rahi hain waris shah
tum se kah rahi hain
ai dard-mandon ke dost panjab ki haalat dekho
chaupal lashon se aTa paDa hai chanab lahu se bhar gaya hai
kisi ne panchon dariyaon mein zahr mila diya hai
aur yahi pani dharti ko sinchne laga hai
jahan pyar ke naghme gunjte the wo bansuri jaane kahan kho gai
aur ranjhe ke sab bhai bansuri bajaana bhul gae
waris shah main tum se kahti hun apni qabr se uTho
aur 'ishq ki kitab ka koi naya warqa kholo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.