Faisal Fehmi
Image Shayari 2
suno KHaamosh hii hastii mirii tum se judaa hogii ki ab har ik fariyaad-e-inaayat be-navaa hogii kisii fard-e-mohabbat se bhalaa ummiid kyaa rakhnaa mohabbat bevafaa thii bevafaa hai bevafaa hogii puraane kaaGazo.n pe darj merii shaa.irii shaayad kisii majruuh dil ke zaKHm kii maa.il ridaa hogii karoge zulm kab tak mashvara hai baaz aa jaa.o bahut pachhtaa.oge tum zulm kii gar intihaa hogii tajassus chho.D de tum qais-o-lailaa sii mohabbat kaa kii daur-e-nau kii har tamsiil-e-ulfat bevafaa hogii
ishq kii aaj intihaa kar do ruuh ko jism se judaa kar do hai KHulaasa yahii mohabbat kaa ho jo achchhaa use buraa kar do ye jo aa.nkho.n se KHuun jaarii hai is ko haatho.n kii tum hinaa kar do vaqt-e-ruKHsat gale lagaa lenaa aaKHirii baar ye KHataa kar do tum mujhe chho.D kyuu.n nahii.n detii apne haq me.n to faisla kar do shabnamii raat ke a.ndhere ko barahna jism kii qabaa kar do ab uThaa do naqaab chehre se raat ko chaa.nd se KHafaa kar do hai ki dushvaar zindagii 'fahmii' KHud ko biimaar baa-KHudaa kar do