aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
aap kī jānib se aa.e to uThā kar rakh liye
pattharoñ se ghar sajāne kā kabhī sochā na thā
aap ki jaanib se aae to uTha kar rakh liye
pattharon se ghar sajaane ka kabhi socha na tha
bahut kaḌā thā vo lamha judā hue jis pal
ajab hai phir bhī mire tan meñ jaan baaqī hai
bahut kaDa tha wo lamha juda hue jis pal
ajab hai phir bhi mere tan mein jaan baqi hai
naam tumhārā haath pe likhnā yaad rahā
ham us ko taqdīr banānā bhuul ga.e
nam tumhaara hath pe likhna yaad raha
hum us ko taqdir banana bhul gae
us se bichhaḌ ke dil kā huā hai ajiib haal
paane kī aarzū ga.ī khone kā Dar gayā
us se bichhaD ke dil ka hua hai ajib haal
pane ki aarzu gai khone ka Dar gaya
Palkein Bheegi Bheegi Si
1998
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books