Maaham Shah
Ghazal 11
Nazm 2
Image Shayari 1
kyaa sunaa.uu.n dil-e-muztar kaa fasaana tum ko mai.n ne chaahaa thaa kabhii ek zamaana tum ko ye jo tum 'iid pe bhii aate nahii.n lauT ke ghar ko.ii chhuTTii kaa nahii.n hotaa bahaana tum ko bistar-e-marg pe maa.n thii to na the saamne tum bahut hii mah.ngaa pa.Daa hai chale jaanaa tum ko gaa.nv ke kachche makaano.n me.n ye pakke rishte raas aa.egaa nahii.n shahr kaa khaanaa tum ko har mahiine ye na.e note ye KHat kyaa matlab na manaa.o nahii.n aataa hai manaanaa tum ko ek kamra hai kiraa.e kaa ye baazaarii Gizaa shahr me.n kaise mile shaahii Thikaana tum ko aaKHirii KHat ko pa.Dho us me.n milegaa 'maaham' bhuul jaane kaa use ko.ii bahaana tum ko