aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
1991 | Rajasthan, India
tujhe itnā to dekhā bhī nahīñ hai
tujhe ham yaad jitnā kar rahe haiñ
tujhe itna to dekha bhi nahin hai
tujhe hum yaad jitna kar rahe hain
chun liyā hai tumheñ mirā mahbūb
dūsrā koī intiḳhāb nahīñ
chun liya hai tumhein mera mahbub
dusra koi intiKHab nahin
vasl ke din gine haiñ unglī par
hijr kā koī bhī hisāb nahīñ
wasl ke din gine hain ungli par
hijr ka koi bhi hisab nahin
kyā kareñ boltī in āñkhoñ kā
haal dil kā chhupā nahīñ sakte
kya karen bolti in aankhon ka
haal dil ka chhupa nahin sakte
mar ga.ī band lifāfe meñ mohabbat merī
sirf usī ne na paḌhe jis ko paḌhāne the ḳhat
mar gai band lifafe mein mohabbat meri
sirf usi ne na paDhe jis ko paDhane the KHat
Sign up and enjoy FREE unlimited access to a whole Universe of Urdu Poetry, Language Learning, Sufi Mysticism, Rare Texts
Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books