aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
dāman-e-sub.h par phail ga.e rañg birañge phuul
in kī raunaq har jagah ghar ho yā schōl
daman-e-subh par phail gae rang birange phul
in ki raunaq har jagah ghar ho ya school
karnā ho to yuuñ karo jīvan kā upyog
naam tumhārā dohrā.eñ aane vaale log
karna ho to yun karo jiwan ka upyog
nam tumhaara dohraen aane wale log
jebeñ ḳhālī ho ga.iiñ chup hai ab insān
bin paanī ke jis tarah machhlī ho be-jān
jeben KHali ho gain chup hai ab insan
bin pani ke jis tarah machhli ho be-jaan
dekh ke bistar aa gayā hameñ niiñd kā dhyān
ġhā.eb hai talvār kahīñ bachī hai ḳhālī myaan
dekh ke bistar aa gaya hamein nind ka dhyan
ghaeb hai talwar kahin bachi hai KHali myan
saḌī-galī ik laash ko noch rahī hai chiil
ab to shahr meñ rahne kī raa.e karo tabdīl
saDi-gali ek lash ko noch rahi hai chil
ab to shahr mein rahne ki rae karo tabdil
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books