jis tarah log KHasare mein bahut sochte hain
jis tarah log įø³hasÄre meƱ bahut sochte haiƱ
aaj kal ham tire baare meƱ bahut sochte haiƱ
kaun hÄlÄt kÄ« sochoƱ ke tamavvuj meƱ nahīƱ
ham bhÄ« bah kar isÄ« dhÄre meƱ bahut sochte haiƱ
hunar-e-kÅ«za-garÄ« ne inheƱ baįø³hshÄ« hai tarÄsh
yÄ ye sab naqsh the gaare meƱ bahut sochte haiƱ
dhyÄn dhartÄ« kÄ nikaltÄ hÄ« nahīƱ hai dil se
jab se utre haiƱ sitÄre meƱ bahut sochte haiƱ
ab mohabbat meƱ bhÄ« 'iqbÄl' hamÄrÄ« auqÄt
kyuuƱ nahīƱ apne guzÄre meƱ bahut sochte haiƱ
jis tarah log KHasare mein bahut sochte hain
aaj kal hum tere bare mein bahut sochte hain
kaun haalat ki sochon ke tamawwuj mein nahin
hum bhi bah kar isi dhaare mein bahut sochte hain
hunar-e-kuza-gari ne inhen baKHshi hai tarash
ya ye sab naqsh the gare mein bahut sochte hain
dhyan dharti ka nikalta hi nahin hai dil se
jab se utre hain sitare mein bahut sochte hain
ab mohabbat mein bhi 'iqbaal' hamari auqat
kyun nahin apne guzare mein bahut sochte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.