Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Tek Chand Bahar

1687 - 1766 | Delhi, India

Sher of Tek Chand Bahar

naaz be-jā o lutf be-mauqa.a

dilbaroñ adā hai kyā kyā kuchh

naz be-ja o lutf be-mauqa

dilbaron ki ada hai kya kya kuchh

hameñ vaa.iz Darātā kyuuñ hai dozaḳh ke azāboñ se

ma.āsī go hamāre besh hoñ kuchh maġhfirat kam hai

hamein waiz Daraata kyun hai dozaKH ke azabon se

maasi go hamare besh hon kuchh maghfirat kam hai

vahī ik āsmāñ hai jis ko ham tum taar kahte haiñ

kabhī tasbīh kahte haiñ kabhī zunnār kahte haiñ

wahi ek aasman hai jis ko hum tum tar kahte hain

kabhi tasbih kahte hain kabhi zunnar kahte hain

kahte haiñ andalīb-e-giraftār mujh ko dekh

ummīd jīvne nahīñ is bahār meñ

kahte hain andalib-e-giraftar mujh ko dekh

ummid jiwne ki nahin is bahaar mein

nahīñ ma.alūm kyā hikmat hai shaiḳh is āfrīnash

hameñ aisā ḳharābātī kiyā tujh ko munājātī

nahin malum kya hikmat hai shaiKH is aafrinash ki

hamein aisa KHarabaati kiya tujh ko munajati

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now