Sher of Tek Chand Bahar
naaz be-jā o lutf be-mauqa.a
dilbaroñ kī adā hai kyā kyā kuchh
naz be-ja o lutf be-mauqa
dilbaron ki ada hai kya kya kuchh
hameñ vaa.iz Darātā kyuuñ hai dozaḳh ke azāboñ se
ma.āsī go hamāre besh hoñ kuchh maġhfirat kam hai
hamein waiz Daraata kyun hai dozaKH ke azabon se
maasi go hamare besh hon kuchh maghfirat kam hai
vahī ik āsmāñ hai jis ko ham tum taar kahte haiñ
kabhī tasbīh kahte haiñ kabhī zunnār kahte haiñ
wahi ek aasman hai jis ko hum tum tar kahte hain
kabhi tasbih kahte hain kabhi zunnar kahte hain
kahte haiñ andalīb-e-giraftār mujh ko dekh
ummīd jīvne kī nahīñ is bahār meñ
kahte hain andalib-e-giraftar mujh ko dekh
ummid jiwne ki nahin is bahaar mein
nahīñ ma.alūm kyā hikmat hai shaiḳh is āfrīnash kī
hameñ aisā ḳharābātī kiyā tujh ko munājātī
nahin malum kya hikmat hai shaiKH is aafrinash ki
hamein aisa KHarabaati kiya tujh ko munajati