Zeb Ghauri
Ghazal 62
Sher-o-Shayari 64
kis ne sahrā meñ mire vāste rakkhī hai ye chhāñv
dhuup roke hai mirā chāhne vaalā kaisā
kis ne sahra mein mere waste rakkhi hai ye chhanw
dhup roke hai mera chahne wala kaisa
-
Share this
- See Ghazal
maiñ laakh ise taaza rakhūñ dil ke lahū se
lekin tirī tasvīr ḳhayālī hī rahegī
main lakh ise taza rakhun dil ke lahu se
lekin teri taswir KHayali hi rahegi
-
Share this
- See Ghazal
maiñ ne dekhā thā sahāre ke liye chāroñ taraf
ki mire paas hī ik haath bhañvar se niklā
main ne dekha tha sahaare ke liye chaaron taraf
ki mere pas hi ek hath bhanwar se nikla
-
Share this
- See Ghazal
shāyad ab bhī koī sharar baaqī ho 'zeb'
dil kī raakh se aañch aatī hai kam kam sī
shayad ab bhi koi sharar baqi ho 'zeb'
dil ki rakh se aanch aati hai kam kam si
-
Share this
- See Ghazal
thak gayā ek kahānī sunte sunte maiñ
kyā is kā anjām nahīñ hotā koī
thak gaya ek kahani sunte sunte main
kya is ka anjam nahin hota koi
-
Share this
- See Ghazal