Aitbar Sajid
Ghazal 46
Nazm 2
Sher-o-Shayari 34
abhī rail ke safar meñ haiñ bahut nihāl donoñ
kahīñ rog ban na jaa.e yahī saath do ghaḌī kā
abhi rail ke safar mein hain bahut nihaal donon
kahin rog ban na jae yahi sath do ghaDi ka
-
Share this
- See Ghazal
jis ko ham ne chāhā thā vo kahīñ nahīñ is manzar meñ
jis ne ham ko pyaar kiyā vo sāmne vaalī mūrat hai
jis ko hum ne chaha tha wo kahin nahin is manzar mein
jis ne hum ko pyar kiya wo samne wali murat hai
-
Share this
- See Ghazal
makīnoñ ke ta.alluq hī se yaad aatī hai har bastī
vagarna sirf bām-o-dar se ulfat kaun rakhtā hai
makinon ke talluq hi se yaad aati hai har basti
wagarna sirf baam-o-dar se ulfat kaun rakhta hai
-
Share this
- See Ghazal
muḳhtalif apnī kahānī hai zamāne bhar se
munfarid ham ġham-e-hālāt liye phirte haiñ
muKHtalif apni kahani hai zamane bhar se
munfarid hum gham-e-haalat liye phirte hain
-
Share this
- See Ghazal
ta.alluqāt meñ gahrā.iyāñ to achchhī haiñ
kisī se itnī magar qurbateñ bhī Thiik nahīñ
talluqat mein gahraiyan to achchhi hain
kisi se itni magar qurbaten bhi Thik nahin
-
Share this
- See Ghazal
BOOKS 5
Image Shayari 7
tire jaisaa meraa bhii haal thaa na sukuun thaa na qaraar thaa yahii 'umr thii mire ham-nashii.n ki kisii se mujh ko bhii pyaar thaa mai.n samajh rahaa huu.n tirii kasak tiraa meraa dard hai mushtarak isii Gam kaa tuu bhii asiir hai isii dukh kaa mai.n bhii shikaar thaa faqat ek dhun thii ki raat-din isii KHvaab-zaar me.n gum rahe.n vo suruur aisaa suruur thaa vo KHumaar aisaa KHumaar thaa kabhii lamha-bhar kii bhii guftuguu mirii us ke saath na ho sakii mujhe fursate.n nahii.n mil sakii.n vo havaa ke rath pe savaar thaa ham 'ajiib tarz ke log the ki hamaare aur hii rog the mai.n KHizaa.n me.n us kaa thaa muntazir use intizaar-e-bahaar thaa use pa.Dh ke tum na samajh sake ki mirii kitaab ke ruup me.n ko.ii qarz thaa ka.ii saal kaa ka.ii rat-jago.n kaa udhaar thaa