Iqbal Azeem
Ghazal 26
Sher-o-Shayari 30
qātil ne kis safā.ī se dhoī hai āstīñ
us ko ḳhabar nahīñ ki lahū boltā bhī hai
qatil ne kis safai se dhoi hai aastin
us ko KHabar nahin ki lahu bolta bhi hai
-
Share this
- See Ghazal
Mazahiya Shayari 1
Naat 5
Image Shayari 1
apne markaz se agar duur nikal jaa.oge KHvaab ho jaa.oge afsaano.n me.n Dhal jaa.oge ab to chehro.n ke KHad-o-KHaal bhii pahle se nahii.n kis ko ma.aluum thaa tum itne badal jaa.oge apne parcham kaa kahii.n rang bhulaa mat denaa surKH sho.alo.n se jo kheloge to jal jaa.oge de rahe hai.n tumhe.n to log rifaaqat kaa fareb un kii taariiKH pa.Dhoge to dahal jaa.oge apnii miTTii hii pe chalne kaa saliiqa siikho sa.ng-e-marmar pe chaloge to phisal jaa.oge KHvaab-gaaho.n se nikalte hu.e Darte kyuu.n ho dhuup itnii to nahii.n hai ki pighal jaa.oge tez qadmo.n se chalo aur tasaadum se bacho bhii.D me.n sust chaloge to kuchal jaa.oge ham-safar Dhuu.nDo na rahbar kaa sahaaraa chaaho Thokare.n khaa.oge to KHud hii sambhal jaa.oge tum ho ik zinda-e-jaaved rivaayat ke charaaG tum ko.ii shaam kaa suuraj ho ki Dhal jaa.oge sub.h-e-saadiq mujhe matluub hai kis se maa.nguu.n tum to bhole ho charaaGo.n se bahal jaa.oge