Mohsin Naqvi
Ghazal 47
Nazm 23
Sher-o-Shayari 38
kaash koī ham se bhī pūchhe
raat ga.e tak kyuuñ jaage ho
kash koi hum se bhi puchhe
raat gae tak kyun jage ho
-
Share this
- See Ghazal
tez havā ne mujh se pūchhā
ret pe kyā likhte rahte ho
tez hawa ne mujh se puchha
ret pe kya likhte rahte ho
-
Share this
- See Ghazal
ye kis ne ham se lahū kā ḳhirāj phir māñgā
abhī to so.e the maqtal ko surḳh-rū kar ke
ye kis ne hum se lahu ka KHiraj phir manga
abhi to soe the maqtal ko surKH-ru kar ke
-
Share this
- See Ghazal
BOOKS 11
Image Shayari 5
vo aksar din me.n bachcho.n ko sulaa detii hai is Dar se galii me.n phir khilaune bechne vaalaa na aa jaa.e
aap kii aa.nkh se gahraa hai mirii ruuh kaa zaKHm aap kyaa soch sake.nge mirii tanhaa.ii ko mai.n to dam to.D rahaa thaa magar afsurda hayaat KHud chalii aa.ii mirii hausla-afzaa.ii ko lazzat-e-Gam ke sivaa terii nigaaho.n ke baGair kaun samjhaa hai mire zaKHm kii gahraa.ii ko mai.n ba.Dhaa.u.ngaa tirii shohrat-e-KHush-buu kaa nikhaar tuu du.aa de mire afsaana-e-rusvaa.ii ko vo to yuu.n kahiye ki ik qaus-e-quzah phail ga.ii varna mai.n bhuul gayaa thaa tirii a.ng.Daa.ii ko