Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Qateel Shifai's Photo'

Qateel Shifai

1919 - 2001 | Lahore, Pakistan

One of the most popular poets ever and film lyricist. Famous for his ghazal 'Garmi-e-hasrat-e-nakaam se jal jate hain'.

One of the most popular poets ever and film lyricist. Famous for his ghazal 'Garmi-e-hasrat-e-nakaam se jal jate hain'.

Dohe of Qateel Shifai

satī to maiñ ho jā.ūñgī par ye mujhe batā

pahle agar maiñ mar ga.ī jalegā bhī kyā

sati to main ho jaungi par ye mujhe bata

pahle agar main mar gai jalega tu bhi kya

mat aa.iyo tum shahr meñ ban ban nāchte mor

nirat ke dushman sab yahāñ kyā hākim kyā chor

mat aaiyo tum shahr mein ban ban nachte mor

nirat ke dushman sab yahan kya hakim kya chor

ye paisa kyā chiiz hai khule na is bhed

jab aayā mire haath meñ karne aayā chhed

ye paisa kya chiz hai khule na is ka bhed

jab aaya mere hath mein karne aaya chhed

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now