Sher of Shaukat Wasti
mujhe to rañj qabā-hā-e-tār-tār kā hai
ḳhizāñ se baḌh ke guloñ par sitam bahār kā hai
mujhe to ranj qaba-ha-e-tar-tar ka hai
KHizan se baDh ke gulon par sitam bahaar ka hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
'shaukat' hamāre saath baḌā hādisa huā
ham rah ga.e hamārā zamāna chalā gayā
'shaukat' hamare sath baDa hadisa hua
hum rah gae hamara zamana chala gaya
baḌe vasūq se duniyā fareb detī rahī
baḌe ḳhulūs se ham e'tibār karte rahe
baDe wasuq se duniya fareb deti rahi
baDe KHulus se hum e'tibar karte rahe
ajiib baat hai din bhar ke ehtimām ke ba.ad
charāġh ek bhī raushan huā na shaam ke ba.ad
ajib baat hai din bhar ke ehtimam ke baad
charagh ek bhi raushan hua na sham ke baad
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ravish ravish pe chaman ke bujhe bujhe manzar
ye kah rahe haiñ yahāñ se bahār guzrī hai
rawish rawish pe chaman ke bujhe bujhe manzar
ye kah rahe hain yahan se bahaar guzri hai