Sher of Tajwar Najibabadi
kahīñ rusvā na hoñ rañgīniyāñ dard-e-mohabbat kī
mirā itnā ḳhayāl ai dīda-e-ḳhūñ-bār kar lenā
kahin ruswa na hon ranginiyan dard-e-mohabbat ki
mera itna KHayal ai dida-e-KHun-bar kar lena
jins-e-hunar mazāq-e-ḳharīdār dekh kar
ḳhud be-niyāz chashm-e-ḳharīdār ho ga.ī
jins-e-hunar mazaq-e-KHaridar dekh kar
KHud be-niyaz chashm-e-KHaridar ho gai
uf vo nazar ki sab ke liye dil-navāz hai
merī taraf uThī to talvār ho ga.ī
uf wo nazar ki sab ke liye dil-nawaz hai
meri taraf uThi to talwar ho gai
ġham-e-mohabbat meñ dil ke dāġhoñ se rū-kash-e-lāla-zār huuñ maiñ
fazā bahārīñ hai jis ke jalvoñ se vo harīf-e-bahār huuñ maiñ
gham-e-mohabbat mein dil ke daghon se ru-kash-e-lala-zar hun main
faza bahaarin hai jis ke jalwon se wo harif-e-bahaar hun main
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
bardāsht dard-e-ishq kī dushvār ho ga.ī
ab zindagī bhī jaan kā āzār ho ga.ī
bardasht dard-e-ishq ki dushwar ho gai
ab zindagi bhi jaan ka aazar ho gai
dil ke pardoñ meñ chhupāyā hai tire ishq kā raaz
ḳhalvat-e-dil meñ bhī pardā nazar aatā hai mujhe
dil ke pardon mein chhupaya hai tere ishq ka raaz
KHalwat-e-dil mein bhi parda nazar aata hai mujhe
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
nazar bhar ke jo dekh sakte haiñ tujh ko
maiñ un kī nazar dekhnā chāhtā huuñ
nazar bhar ke jo dekh sakte hain tujh ko
main un ki nazar dekhna chahta hun
ḳhudā mujh ko tujh se hī mahrūm kar de
jo kuchh aur tere sivā chāhtā huuñ
KHuda mujh ko tujh se hi mahrum kar de
jo kuchh aur tere siwa chahta hun
aah us kī be-kasī tū na jis ke saath ho
haa.e us kī bandagī jis kā tū ḳhudā nahīñ
aah us ki be-kasi tu na jis ke sath ho
hae us ki bandagi jis ka tu KHuda nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download