Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Yazdani Jalandhari's Photo'

Yazdani Jalandhari

1915 - 1990 | Lahore, Pakistan

Sher of Yazdani Jalandhari

bazm-e-vafā sajī to ajab silsile hue

shikve hue na un se na ham se gile hue

bazm-e-wafa saji to ajab silsile hue

shikwe hue na un se na hum se gile hue

ijz ke saath chale aa.e haiñ ham 'yazdānī'

koī aur un ko manā lene Dhab yaad nahīñ

ijz ke sath chale aae hain hum 'yazdani'

koi aur un ko mana lene ka Dhab yaad nahin

sham.a hogī sub.h tak baaqī na parvāne ḳhaak

ahl-e-mahfil zabāñ par dāstāñ rah jā.egī

shama hogi subh tak baqi na parwane ki KHak

ahl-e-mahfil ki zaban par dastan rah jaegi

milā hai taptā sahrā dekhne ko

chale the ghar se dariyā dekhne ko

mila hai tapta sahra dekhne ko

chale the ghar se dariya dekhne ko

zindagī koh-e-be-sutūñ goyā

har nafas ek taisha-e-farhād

zindagi koh-e-be-sutun goya

har nafas ek taisha-e-farhad

Recitation

Speak Now