Abhinandan Pandey
Ghazal 8
Sher-o-Shayari 4
darmiyāñ jo jism kā parda hai kaise hogā chaak
maut kis tarkīb se ham ko milā.egī na pūchh
darmiyan jo jism ka parda hai kaise hoga chaak
maut kis tarkib se hum ko milaegi na puchh
-
Share this
- See Ghazal
nasl-e-ādam rafta rafta ḳhud ko kar legī tabāh
itnī saḳhtī se qayāmat pesh aa.egī na pūchh
nasl-e-adam rafta rafta KHud ko kar legi tabah
itni saKHti se qayamat pesh aaegi na puchh
-
Share this
- See Ghazal
savāl aa ga.e āñkhoñ se chhin ke hoñToñ par
hameñ javāb na dene kā fā.eda to milā
sawal aa gae aankhon se chhin ke honTon par
hamein jawab na dene ka faeda to mila
-
Share this
- See Ghazal
Image Shayari 1
chalo faraar-e-KHudii kaa ko.ii sila to milaa hamii.n mile nahii.n us ko hame.n KHudaa to milaa nashaat-e-qarya-e-jaa.n se judaa hu.ii KHushbuu safar kuchh aisaa hai ab ke ko.ii milaa to milaa hamaare baa'd rivaayat chalii mohabbat kii nizaam-e-aalam-e-hastii ko falsafa to milaa jo chho.D aa.e the taskiin-e-dil ke vaaste ham tumhe.n ai jaan-e-tamannaa vo naqsh-e-paa to milaa savaal aa ga.e aa.nkho.n se chhin ke ho.nTo.n par hame.n javaab na dene kaa faa.eda to milaa ye aah-o-girya-o-zaarii kahii.n to kaam aa.ii havaa-e-dasht ko paanii kaa zaa.iqa to milaa namaaz-e-asr nahii.n pa.Dh sakii mirii vahshat junuun-e-ishq ko maidaan-e-karbalaa to milaa phir is ke baa'd baraamad na ho sakaa kuchh bhii hamaare aa.nkh me.n jaltaa hu.aa diyaa to milaa