Sher of Ahmad Tariq
merī āñkhoñ kā raat din ronā
mere ḳhvāboñ kī āb-yārī hai
meri aankhon ka raat din rona
mere KHwabon ki aab-yari hai
hathelī pe likh le mirā naam tū
lakīroñ meñ rachnā mirā kaam hai
hatheli pe likh le mera nam tu
lakiron mein rachna mera kaam hai
āsmāñ par garajnā bādaloñ kā
tere lahje kā isti.āra hai
aasman par garajna baadalon ka
tere lahje ka istiara hai
terī āñkhoñ terī zulfoñ kā gila kaise utārūñ
tere hoñToñ par safar kartā qalam thaktā nahīñ hai
teri aankhon teri zulfon ka gila kaise utarun
tere honTon par safar karta qalam thakta nahin hai
batā ḳhud ko bhalā kaise sañvārūñ
mujhe ġham ā.inoñ meñ dikh rahā hai
bata KHud ko bhala kaise sanwarun
mujhe gham aainon mein dikh raha hai