Akbar Masoom
Ghazal 13
Sher-o-Shayari 10
aisā ek maqām ho jis meñ dil jaisī vīrānī ho
yādoñ jaisī tez havā ho dard se gahrā paanī ho
aisa ek maqam ho jis mein dil jaisi virani ho
yaadon jaisi tez hawa ho dard se gahra pani ho
-
Share this
- See Ghazal
hai musībat meñ giraftār musībat merī
jo bhī mushkil hai vo mere liye āsānī hai
hai musibat mein giraftar musibat meri
jo bhi mushkil hai wo mere liye aasani hai
-
Share this
- See Ghazal
tire ġhurūr kī ismat-darī pe nādim huuñ
tire lahū se bhī dāman hai dāġhdār mirā
tere ghurur ki ismat-dari pe nadim hun
tere lahu se bhi daman hai daghdar mera
-
Share this
- See Ghazal
ujālā hai jo ye kaun-o-makāñ meñ
hamārī ḳhaak se laayā gayā hai
ujala hai jo ye kaun-o-makan mein
hamari KHak se laya gaya hai
-
Share this
- See Ghazal
vo aur hoñge jo kār-e-havas pe zinda haiñ
maiñ us kī dhuup se saaya badal ke aayā huuñ
wo aur honge jo kar-e-hawas pe zinda hain
main us ki dhup se saya badal ke aaya hun
-
Share this
- See Ghazal