Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Alimullah Hali's Photo'

Alimullah Hali

1940 | Patna, India

Sher of Alimullah Hali

ek āvāz ne toḌī hai ḳhamoshī merī

DhūñDhtā huuñ to pas-e-sāhil-e-shab kuchh bhī nahīñ

ek aawaz ne toDi hai KHamoshi meri

DhunDhta hun to pas-e-sahil-e-shab kuchh bhi nahin

sadāoñ ke jañgal meñ vo ḳhāmushī hai

ki maiñ ne har āvāz terī sunī hai

sadaon ke jangal mein wo KHamushi hai

ki main ne har aawaz teri suni hai

bikhar ke chhūT na jā.ūñ tirī giraft se maiñ

sambhāl kar mujhe ai mauj-e-ḳhush-adā le

bikhar ke chhuT na jaun teri giraft se main

sambhaal kar mujhe ai mauj-e-KHush-ada le ja

koī patthar nishāñ rakh ke judā hoñ ham tum

jaane ye peḌ kis āñdhī meñ ukhaḌ jā.egā

koi patthar ka nishan rakh ke juda hon hum tum

jaane ye peD kis aandhi mein ukhaD jaega

Recitation

Speak Now