Arzoo Saharanpuri
Ghazal 16
Sher-o-Shayari 4
mahsūs kar rahā huuñ ḳhud apne jamāl ko
jitnā tire qarīb chalā jā rahā huuñ maiñ
mahsus kar raha hun KHud apne jamal ko
jitna tere qarib chala ja raha hun main
- Add to favorites
-
Share this
bhuul ke kabhī na faash kar rāz-o-niyāz-e-āshiqī
vo bhī agar hoñ sāmne aañkh uThā ke bhī na dekh
bhul ke kabhi na fash kar raaz-o-niyaz-e-ashiqi
wo bhi agar hon samne aankh uTha ke bhi na dekh
- Add to favorites
-
Share this
go sarāpā-e-jabr haiñ phir bhī
sāhab-e-iḳhtiyār haiñ ham log
go sarapa-e-jabr hain phir bhi
sahab-e-iKHtiyar hain hum log
- Add to favorites
-
Share this
kabhī kabhī to ik aisā maqām aayā hai
maiñ husn ban ke ḳhud apnī nazar se guzrā huuñ
kabhi kabhi to ek aisa maqam aaya hai
main husn ban ke KHud apni nazar se guzra hun
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal