Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Asad Awan's Photo'

Asad Awan

1972 | Sargodha, Pakistan

Sher of Asad Awan

171
Favorite

SORT BY

ham bhī 'ġhālib' tarah kūcha-e-jānāñ se 'asad'

na nikalte to kisī roz nikāle jaate

hum bhi 'ghaalib' ki tarah kucha-e-jaanan se 'asad'

na nikalte to kisi roz nikale jate

ḳhud-baḳhud chhoḌ ga.e haiñ to chalo Thiik huā

itne ahbāb kahāñ ham se sañbhāle jaate

KHud-baKHud chhoD gae hain to chalo Thik hua

itne ahbab kahan hum se sanbhaale jate

umr-bhar maañ nasīhat pe zamāne meñ 'asad'

fātima-zehrā ke bachchoñ se vafādārī

umr-bhar man ki nasihat pe zamane mein 'asad'

fatima-zehra ke bachchon se wafadari ki

is mohabbat ne hameñ joḌ diyā aapas meñ

varna ham donoñ ik jaisā aqīda to na thā

is mohabbat ne hamein joD diya aapas mein

warna hum donon ka ek jaisa aqida to na tha

aaj dekhā hai use jaate hue raste meñ

aaj us shaḳhs tasvīr utārī maiñ ne

aaj dekha hai use jate hue raste mein

aaj us shaKHs ki taswir utari main ne

jo apne zo'm meñ rahte haiñ aise logoñ ko

nazar meñ rakhte haiñ dil se utaar dete haiñ

jo apne zo'm mein rahte hain aise logon ko

nazar mein rakhte hain dil se utar dete hain

'ġhālib' ke martabe se ye vāqif nahīñ 'asad'

ye bad-lihāz nasl hai ahd-e-jadīd

'ghaalib' ke martabe se ye waqif nahin 'asad'

ye bad-lihaz nasl hai ahd-e-jadid ki

lab pe ik harf-e-tamannā hai gadā.ī to nahīñ

ye mirī apnī kamā.ī hai parā.ī to nahīñ

lab pe ek harf-e-tamanna hai gadai to nahin

ye meri apni kamai hai parai to nahin

donoñ ne donoñ hāthoñ se luuTā hameñ 'asad'

parda-nashīñ bhī the ka.ī masnad-nashīñ bhī the

donon ne donon hathon se luTa hamein 'asad'

parda-nashin bhi the kai masnad-nashin bhi the

zaḳhm siine pe hue itne ki siine se rahe

ham tire hijr meñ jiite haiñ to jiine se rahe

zaKHm sine pe hue itne ki sine se rahe

hum tere hijr mein jite hain to jine se rahe

chup-chāp apne yaar dahlīz par mare

duniyā kahegī ham bhī kisī chiiz par mare

chup-chap apne yar ki dahliz par mare

duniya kahegi hum bhi kisi chiz par mare

koī to dekhe mirī bebasī mohabbat meñ

maiñ aap apnī jahāñ meñ hañsī uḌātā phirūñ

koi to dekhe meri bebasi mohabbat mein

main aap apni jahan mein hansi uData phirun

bach-bach ke terī raah se chalnā to thā mujhe

jo badal gayā hai badalnā to thā mujhe

bach-bach ke teri rah se chalna to tha mujhe

tu jo badal gaya hai badalna to tha mujhe

zulm to ye hai ki azbar na rahe ġhurbat meñ

ek hāfiz se javānī hifāzat na huī

zulm to ye hai ki azbar na rahe ghurbat mein

ek hafiz se jawani ki hifazat na hui

ham bhī 'ġhālib' tarah kūcha-e-jānāñ se 'asad'

na nikalte to kisī roz nikāle jaate

hum bhi 'ghaalib' ki tarah kucha-e-jaanan se 'asad'

na nikalte to kisi roz nikale jate

yūsuf ke liye haiñ sar-e-bāzār ikaTThe

qismat se hue aaj ḳharīdār ikaTThe

yusuf ke liye hain sar-e-bazar ikaTThe

qismat se hue aaj KHaridar ikaTThe

sirf ik terī nigāhoñ chunīda to na thā

maiñ sabhī thā mujhe ne ḳharīdā to na thā

sirf ek teri nigahon ka chunida to na tha

main sabhi ka tha mujhe tu ne KHarida to na tha

tishnagī hai mirī āñkhoñ meñ use milne

paikar-e-yār bhī chāh-e-zaqan khīñchtā hai

tishnagi hai meri aankhon mein use milne ki

paikar-e-yar ka bhi chah-e-zaqan khinchta hai

ik na.ī tarz kirdār diyā jā.egā

is kahānī meñ mujhe maar diyā jā.egā

ek nai tarz ka kirdar diya jaega

is kahani mein mujhe mar diya jaega

zhāla-bārī bhī rahī dhuup bhī thī bārish bhī

terī yādoñ ke ilāqe meñ ye manzar dekhe

zhaala-bari bhi rahi dhup bhi thi barish bhi

teri yaadon ke ilaqe mein ye manzar dekhe

rāsta saaf nazar aatā hai raahī to nahīñ

kuchh kaho rāh-e-mohabbat meñ tabāhī to nahīñ

rasta saf nazar aata hai rahi to nahin

kuchh kaho rah-e-mohabbat mein tabahi to nahin

subūt aaj bhī merī kitāb meñ hai 'asad'

vo ek ruq.a tirā tere dastaḳhat ke saath

subut aaj bhi meri kitab mein hai 'asad'

wo ek ruqa tera tere dastaKHat ke sath

saare marte haiñ usī ek parī chehre par

ham bhī un galiyoñ meñ bekār se ho aate haiñ

sare marte hain usi ek pari chehre par

hum bhi un galiyon mein bekar se ho aate hain

TuuTā huā vajūd hai TuuTā huā hai jism

merā to mah-jabīnoñ ne luuTā huā hai jism

TuTa hua wajud hai TuTa hua hai jism

mera to mah-jabinon ne luTa hua hai jism

vasvase Daste rahe ishq meñ sāñpoñ tarah

be-asā rāh-e-ḳhatarnāk pe din guzre haiñ

waswase Daste rahe ishq mein sanpon ki tarah

be-asa rah-e-KHatarnak pe din guzre hain

tuyūr-e-husn bhī kal tak qafas meñ hoñge 'asad'

ki ham ne dekhe haiñ daane qarīb jāloñ ke

tuyur-e-husn bhi kal tak qafas mein honge 'asad'

ki hum ne dekhe hain dane qarib jalon ke

mirī nigāh rahe sirf rū-e-qātil par

guloñ pe ḳhanjar-e-be-ābdār chaltā rahe

meri nigah rahe sirf ru-e-qatil par

gulon pe KHanjar-e-be-abdar chalta rahe

zabt ke shahr se niklā hai jo lashkar le kar

dasht-e-hairat kaḌī dhuup meñ jaltā jaa.e

zabt ke shahr se nikla hai jo lashkar le kar

dasht-e-hairat ki kaDi dhup mein jalta jae

qāfile vāloñ ko khā jā.egī ye sust-ravī

sārbānoñ ko subuk-ḳhez kareñ chalte chaleñ

qafile walon ko kha jaegi ye sust-rawi

sarbanon ko subuk-KHez karen chalte chalen

zākir-e-āl-e-mohammad hai mimbar pe 'asad'

ibn-e-marjāna ke jaisā ye labāda kaisā

zakir-e-al-e-mohammad hai tu mimbar pe 'asad'

ibn-e-marjaana ke jaisa ye labaada kaisa

nit-nayā ne zamāne meñ ḳharīdā badlā

tere kahne pe kahāñ ham ne aqīda badlā

nit-naya tu ne zamane mein KHarida badla

tere kahne pe kahan hum ne aqida badla

guzar na jaa.e ye mausam basant mausam

banafsha phuul khile har taraf zamīñ ke liye

guzar na jae ye mausam basant ka mausam

banafsha phul khile har taraf zamin ke liye

Duub jaa.e na kahīñ zor-e-talātum meñ 'asad'

ik nazar shāh-e-umam mere safīne taraf

Dub jae na kahin zor-e-talatum mein 'asad'

ek nazar shah-e-umam mere safine ki taraf

hairat hai aaj chashm-e-zamāna-shanās meñ

dekhā gayā hai us ko ġhazal ke libās meñ

hairat hai aaj chashm-e-zamana-shanas mein

dekha gaya hai us ko ghazal ke libas mein

pamba-dar-gosh samajhte haiñ kahīñ ham ko 'asad'

ūñchī āvāz meñ jo shoa.la-fishāñ bolte haiñ

pamba-dar-gosh samajhte hain kahin hum ko 'asad'

unchi aawaz mein jo shoala-fishan bolte hain

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now