Sher of Atique Asar
qarīb se na guzar intizār baaqī rakh
qarābatoñ kā magar e'tibār baaqī rakh
qarib se na guzar intizar baqi rakh
qarabaton ka magar e'tibar baqi rakh
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
masarrat aur ġham donoñ kī koī had zarūrī hai
kisī bhī ek shai kā silsila achchhā nahīñ lagtā
masarrat aur gham donon ki koi had zaruri hai
kisi bhi ek shai ka silsila achchha nahin lagta
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
churā ke laa.e haiñ kuchh log lafz ke motī
inheñ vo bech rahe haiñ dukāñ dukāñ ho kar
chura ke lae hain kuchh log lafz ke moti
inhen wo bech rahe hain dukan dukan ho kar
uThe jaate haiñ dīda-var sabhī āhista āhista
ye duniyā mo'tabar logoñ se ḳhālī hotī jaatī hai
uThe jate hain dida-war sabhi aahista aahista
ye duniya mo'tabar logon se KHali hoti jati hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vo baat mujh ko to dushnām sī lagī hai 'atīq'
tumhārā naam likhā kis ne be-vafāoñ meñ
wo baat mujh ko to dushnam si lagi hai 'atiq'
tumhaara nam likha kis ne be-wafaon mein