Sher of Bekhud Mohani
umiid kā ye rañg hai hujūm-e-rañj-o-yās meñ
ki jis tarah koī hasīñ ho mātamī libās meñ
umid ka ye rang hai hujum-e-ranj-o-yas mein
ki jis tarah koi hasin ho matami libas mein
lazzat kabhī thī ab to musībat sī ho ga.ī
mujh ko gunāh karne kī aadat sī ho ga.ī
lazzat kabhi thi ab to musibat si ho gai
mujh ko gunah karne ki aadat si ho gai
kyuuñ ulajhte ho har ik baat pe 'beḳhud' un se
tum bhī nādān bane jaate ho nādān ke saath
kyun ulajhte ho har ek baat pe 'beKHud' un se
tum bhi nadan bane jate ho nadan ke sath
us ke hāthoñ na milā chain mujhī ko dam bhar
mujh se le kar dil-e-betāb karoge kyā tum
us ke hathon na mila chain mujhi ko dam bhar
mujh se le kar dil-e-betab karoge kya tum
nasheman phūñkne vaale hamārī zindagī ye hai
kabhī ro.e kabhī sajde kiye ḳhāk-e-nasheman par
nasheman phunkne wale hamari zindagi ye hai
kabhi roe kabhi sajde kiye KHak-e-nasheman par
vahāñ ab saañs lene kī sadā aatī hai mushkil se
jo zindāñ gūñjtā rahtā thā āvāz-e-salāsil se
wahan ab sans lene ki sada aati hai mushkil se
jo zindan gunjta rahta tha aawaz-e-salasil se
hasr ka.aba pe kyā hai der sahī
haj kā mausam nahīñ to sair sahī
hasr kaba pe kya hai der sahi
haj ka mausam nahin to sair sahi