Sher on Gunah
The idea of sin is associated
with religious faith. The poets have, however, looked at sin from a different perspective. So, sin that drives fears into hearts is also turned into something that entices and brings man face-to-face with a different experience of life. With reference to the ideas and experiences of sin and virtue, good and evil, this selection would bring you many surprises.
koī samjhe to ek baat kahūñ
ishq taufīq hai gunāh nahīñ
if someone were to listen, one thing I will opine
Love is not a crime forsooth it is grace divine
koi samjhe to ek baat kahun
ishq taufiq hai gunah nahin
if someone were to listen, one thing I will opine
Love is not a crime forsooth it is grace divine
-
Tags : Ishqand 3 more
yuuñ zindagī guzār rahā huuñ tire baġhair
jaise koī gunāh kiye jā rahā huuñ maiñ
yun zindagi guzar raha hun tere baghair
jaise koi gunah kiye ja raha hun main
-
Tags : Hijrand 1 more
ik fursat-e-gunāh milī vo bhī chaar din
dekhe haiñ ham ne hausle parvardigār ke
ek fursat-e-gunah mili wo bhi chaar din
dekhe hain hum ne hausle parwardigar ke
terī baḳhshish ke bharose pe ḳhatā.eñ kī haiñ
terī rahmat ke sahāre ne gunahgār kiyā
teri baKHshish ke bharose pe KHataen ki hain
teri rahmat ke sahaare ne gunahgar kiya
aatā hai dāġh-e-hasrat-e-dil kā shumār yaad
mujh se mire gunah kā hisāb ai ḳhudā na maañg
aata hai dagh-e-hasrat-e-dil ka shumar yaad
mujh se mere gunah ka hisab ai KHuda na mang
-
Tag : Khuda
is bharose pe kar rahā huuñ gunāh
baḳhsh denā to terī fitrat hai
I keep on sinning as I do believe
it is your nature to grant reprieve
is bharose pe kar raha hun gunah
baKHsh dena to teri fitrat hai
I keep on sinning as I do believe
it is your nature to grant reprieve
-
Tag : Khuda
mire gunāh ziyāda haiñ yā tirī rahmat
karīm tū hī batā de hisāb kar ke mujhe
whether my sins are greater of your mercy pray?
My lord take account and tell me this today
mere gunah ziyaada hain ya teri rahmat
karim tu hi bata de hisab kar ke mujhe
whether my sins are greater of your mercy pray?
My lord take account and tell me this today
gunāh gin ke maiñ kyuuñ apne dil ko chhoTā karūñ
sunā hai tere karam kā koī hisāb nahīñ
gunah gin ke main kyun apne dil ko chhoTa karun
suna hai tere karam ka koi hisab nahin
farishte hashr meñ pūchheñge pāk-bāzoñ se
gunāh kyuuñ na kiye kyā ḳhudā ġhafūr na thā
farishte hashr mein puchhenge pak-bazon se
gunah kyun na kiye kya KHuda ghafur na tha
apne kisī amal pe nadāmat nahīñ mujhe
thā nek-dil bahut jo gunahgār mujh meñ thā
apne kisi amal pe nadamat nahin mujhe
tha nek-dil bahut jo gunahgar mujh mein tha
gunāhgār to rahmat ko muñh dikhā na sakā
jo be-gunāh thā vo bhī nazar milā na sakā
gunahgar to rahmat ko munh dikha na saka
jo be-gunah tha wo bhi nazar mila na saka
pūchhegā jo ḳhudā to ye kah deñge hashr meñ
haañ haañ gunah kiyā tirī rahmat ke zor par
puchhega jo KHuda to ye kah denge hashr mein
han han gunah kiya teri rahmat ke zor par
shirkat gunāh meñ bhī rahe kuchh savāb kī
tauba ke saath toḌiye botal sharāb kī
shirkat gunah mein bhi rahe kuchh sawab ki
tauba ke sath toDiye botal sharab ki
vo kaun haiñ jinheñ tauba kī mil ga.ī fursat
hameñ gunāh bhī karne ko zindagī kam hai
who are those that seem to find the time for to repent
for us this life is too short to sin to heart's content
wo kaun hain jinhen tauba ki mil gai fursat
hamein gunah bhi karne ko zindagi kam hai
who are those that seem to find the time for to repent
for us this life is too short to sin to heart's content
-
Tag : Tauba
mire ḳhudā ne kiyā thā mujhe asīr-e-bahisht
mire gunah ne rihā.ī mujhe dilā.ī hai
mere KHuda ne kiya tha mujhe asir-e-bahisht
mere gunah ne rihai mujhe dilai hai
dekhā to sab ke sar pe gunāhoñ kā bojh thā
ḳhush the tamām nekiyāñ dariyā meñ Daal kar
dekha to sab ke sar pe gunahon ka bojh tha
KHush the tamam nekiyan dariya mein Dal kar
gunah-gāroñ meñ shāmil haiñ gunāhoñ se nahīñ vāqif
sazā ko jānte haiñ ham ḳhudā jaane ḳhatā kyā hai
gunah-garon mein shamil hain gunahon se nahin waqif
saza ko jaante hain hum KHuda jaane KHata kya hai
vo jo raat mujh ko baḌe adab se salām kar ke chalā gayā
use kyā ḳhabar mire dil meñ bhī kabhī ārzū-e-gunāh thī
wo jo raat mujh ko baDe adab se salam kar ke chala gaya
use kya KHabar mere dil mein bhi kabhi aarzu-e-gunah thi
-
Tag : Aarzoo
rahmatoñ se nibāh meñ guzrī
umr saarī gunāh meñ guzrī
rahmaton se nibah mein guzri
umr sari gunah mein guzri
gunāhoñ se hameñ raġhbat na thī magar yā rab
tirī nigāh-e-karam ko bhī muñh dikhānā thā
O Lord, I was not drawn to sinning all the time
how else could I confront your mercy so sublime
gunahon se hamein raghbat na thi magar ya rab
teri nigah-e-karam ko bhi munh dikhana tha
O Lord, I was not drawn to sinning all the time
how else could I confront your mercy so sublime
-
Tag : Khuda
sunā hai ḳhvāb mukammal kabhī nahīñ hote
sunā hai ishq ḳhatā hai so kar ke dekhte haiñ
suna hai KHwab mukammal kabhi nahin hote
suna hai ishq KHata hai so kar ke dekhte hain
-
Tags : Ishqand 2 more
ḳhud-parastī ḳhudā na ban jaa.e
ehtiyātan gunāh kartā huuñ
KHud-parasti KHuda na ban jae
ehtiyatan gunah karta hun
mujhe gunāh meñ apnā surāġh miltā hai
vagarna pārsā-o-dīn-dār maiñ bhī thā
mujhe gunah mein apna suragh milta hai
wagarna parsa-o-din-dar main bhi tha
lazzat kabhī thī ab to musībat sī ho ga.ī
mujh ko gunāh karne kī aadat sī ho ga.ī
lazzat kabhi thi ab to musibat si ho gai
mujh ko gunah karne ki aadat si ho gai
ishq meñ vo bhī ek vaqt hai jab
be-gunāhī gunāh hai pyāre
ishq mein wo bhi ek waqt hai jab
be-gunahi gunah hai pyare
ruuh meñ reñgtī rahtī hai gunah kī ḳhvāhish
is amarbel ko ik din koī dīvār mile
ruh mein rengti rahti hai gunah ki KHwahish
is amarbel ko ek din koi diwar mile
yaad aa.e haiñ uff gunah kyā kyā
haath uThā.e haiñ jab duā ke liye
yaad aae hain uff gunah kya kya
hath uThae hain jab dua ke liye
nā-karda gunāhoñ kī bhī hasrat kī mile daad
yā rab agar in karda gunāhoñ kī sazā hai
for the sins uncommitted, I hope to get applause
if sins one did commit for punishment are due cause
na-karda gunahon ki bhi hasrat ki mile dad
ya rab agar in karda gunahon ki saza hai
for the sins uncommitted, I hope to get applause
if sins one did commit for punishment are due cause
mahsūs bhī ho jaa.e to hotā nahīñ bayāñ
nāzuk sā hai jo farq gunāh o savāb meñ
mahsus bhi ho jae to hota nahin bayan
nazuk sa hai jo farq gunah o sawab mein
gunāh kar ke bhī ham riñd pāk-sāf rahe
sharāb pī to nadāmat ne aab aab kiyā
gunah kar ke bhi hum rind pak-saf rahe
sharab pi to nadamat ne aab aab kiya
ḳhāmosh ho ga.iiñ jo umañgeñ shabāb kī
phir jur.at-e-gunāh na kī ham bhī chup rahe
KHamosh ho gain jo umangen shabab ki
phir jurat-e-gunah na ki hum bhi chup rahe
-
Tags : Budhapaand 1 more
kahegī hashr ke din us kī rahmat-e-be-had
ki be-gunāh se achchhā gunāh-gār rahā
kahegi hashr ke din us ki rahmat-e-be-had
ki be-gunah se achchha gunah-gar raha
ye kyā kahūñ ki mujh ko kuchh gunāh bhī aziiz haiñ
ye kyuuñ kahūñ ki zindagī savāb ke liye nahīñ
ye kya kahun ki mujh ko kuchh gunah bhi aziz hain
ye kyun kahun ki zindagi sawab ke liye nahin
kyā kījiye kashish hai kuchh aisī gunāh meñ
maiñ varna yuuñ fareb meñ aatā bahār ke
kya kijiye kashish hai kuchh aisi gunah mein
main warna yun fareb mein aata bahaar ke
zāhid umīd-e-rahmat-e-haq aur hajv-e-mai
pahle sharāb pī ke gunāh-gār bhī to ho
zahid umid-e-rahmat-e-haq aur hajw-e-mai
pahle sharab pi ke gunah-gar bhi to ho
guzar rahā huuñ kisī jannat-e-jamāl se maiñ
gunāh kartā huā nekiyāñ kamātā huā
guzar raha hun kisi jannat-e-jamal se main
gunah karta hua nekiyan kamata hua
na ranj-e-hijrat thā aur na shauq-e-safar thā dil meñ
sab apne apne gunāh kā bojh Dho rahe the
na ranj-e-hijrat tha aur na shauq-e-safar tha dil mein
sab apne apne gunah ka bojh Dho rahe the
-
Tags : Hijratand 1 more
tāzīr-e-jurm-e-ishq hai be-sarfa mohtasib
baḌhtā hai aur zauq-e-gunah yaañ sazā ke ba.ad
tazir-e-jurm-e-ishq hai be-sarfa mohtasib
baDhta hai aur zauq-e-gunah yan saza ke baad