join rekhta family!
Ghazal 88
Nazm 157
Sher 81
aur bhī dukh haiñ zamāne meñ mohabbat ke sivā
rāhateñ aur bhī haiñ vasl kī rāhat ke sivā
sorrows other than love's longing does this life provide
comforts other than a lover's union too abide
aur bhi dukh hain zamane mein mohabbat ke siwa
rahaten aur bhi hain wasl ki rahat ke siwa
sorrows other than love's longing does this life provide
comforts other than a lover's union too abide
-
Share this
- Translation
dil nā-umīd to nahīñ nākām hī to hai
lambī hai ġham kī shaam magar shaam hī to hai
dil na-umid to nahin nakaam hi to hai
lambi hai gham ki sham magar sham hi to hai
-
Share this
- See Ghazal
kar rahā thā ġham-e-jahāñ kā hisāb
aaj tum yaad be-hisāb aa.e
kar raha tha gham-e-jahan ka hisab
aaj tum yaad be-hisab aae
-
Share this
- See Ghazal
Qita 36
Latiife 3
Article 1
BOOKS 174
Image shayari 53
mai.n kyaa likhuu.n ki jo meraa tumhaaraa rishta hai vo aashiqii kii zabaa.n me.n kahii.n bhii darj nahii.n likhaa gayaa hai bahut lutf-e-vasl o dard-e-firaaq magar ye kaifiyat apnii raqam nahii.n hai kahii.n ye apnaa ishq-e-ham-aaGosh jis me.n hijr o visaal ye apnaa dard ki hai kab se hamdam-e-mah-o-saal is ishq-e-KHaas ko har ek se chhupaa.e hu.e ''guzar gayaa hai zamaana gale lagaa.e hu.e''
dasht-e-tanhaa.ii me.n ai jaan-e-jahaa.n larzaa.n hai.n terii aavaaz ke saa.e tire ho.nTo.n ke saraab dasht-e-tanhaa.ii me.n duurii ke KHas o KHaak tale khil rahe hai.n tire pahluu ke saman aur gulaab uTh rahii hai kahii.n qurbat se tirii saa.ns kii aa.nch apnii KHushbuu me.n sulagtii hu.ii maddham maddham duur ufuq paar chamaktii hu.ii qatra qatra gir rahii hai tirii dildaar nazar kii shabnam is qadar pyaar se ai jaan-e-jahaa.n rakkhaa hai dil ke ruKHsaar pe is vaqt tirii yaad ne haat yuu.n gumaa.n hotaa hai garche hai abhii sub.h-e-firaaq Dhal gayaa hijr kaa din aa bhii ga.ii vasl kii raat
nahii.n nigaah me.n manzil to justujuu hii sahii nahii.n visaal mayassar to aarzuu hii sahii na tan me.n KHuun faraaham na ashk aa.nkho.n me.n namaaz-e-shauq to vaajib hai be-vazuu hii sahii kisii tarah to jame bazm mai-kade vaalo nahii.n jo baada-o-saaGar to haav-huu hii sahii gar intizaar kaThin hai to jab talak ai dil kisii ke vaada-e-fardaa kii guftuguu hii sahii dayaar-e-Gair me.n mahram agar nahii.n ko.ii to 'faiz' zikr-e-vatan apne ruu-ba-ruu hii sahii